Urdu MCQs

Urdu MCQs from Past papers of PPSC,FPSC,NTS,CSS – SET 1

Urdu most repeated mcqs.Urdu mcqs, Urdu past papers.www.testdunya.com

Urdu Most repeated MCQs from Past papers of PPSC,FPSC,NTS,CSS || Urdu MCQs Data SET-1

  1. Urdu ka pehla ghazal go shair tha walli daccni
  2. Walli daccni nay ye books likhi hain
    masnavi dah majlis
    b. hindi deewan
    c. rasala noor ul marfat
  3. Khawaja meer dard ka real name khawaja meer tha.
  4. DARD 1133 Hijri (1723) ko peda howy aor 1199 hijri (1785) ko wafat pai
  5. Dard ki choti barhi 12 books hain
  6. Masnavi Sehr ul Biyan Meer Hasan nay likhi thi.
  7. Meen Hasan nay total 12 masnvia likhi thi
  8. Masnavi Gulzar e naseem Diya Shankar naseem nay likhi thi
  9. Marsia Arabic ka lafz hay jis ka matlab hay roona peetna, rehm khana ya dard feel karna
  10. Marsia k 9 ajza hain
  11. Marsia ka aghaz Deccan say howa
  12. Marsia ka sab say pehla majmua Karbal Khata hay.
  13. Karbal katha ko 1145 main Fazli nay likha tha
  14. Meer Anees nay 176 marsia likhy thay
  15. Meer Anees ko sab say barha marsia khawan kaha jata hay
  16. Qaseeda ki 2 kinds hain
  17. Dr fallen nay nazeer akber abadi ko urdu nazam nigari ka bani kaha tha
  18. Nazeer Akber abadi ki nazmain Axdahay ka bacha aor choho ka achar likhi thi
  19. nazeer ki boht si nazmen tamseel nigari ki missal hain, ie Hans nama aor Banjara nama
  20. Bagh o bahar ko Meer aman nay likha tha
  21. Bagh o bahar farsi main qissa char darwaish k name say mashoor hay
  22. Bagh o bahar ko meer aman hay Dr Gilchrist ki farmaish pay 1802 main likha tha
  23. Molvi abdul haq nay kaha tha k “jab main urdu bhoolny lagta hon to Bagh o bhar parh lieta hon
  24. Fasana e ajaib Rajab ali baig sarwar nay likha tha jis ka markazi kirdar Shahzada Jaan e alam tha
  25. Anjaman ara jaan e alam ki mehbuba thi
  26. Malika mehr nigar ic dastan ka sab say important role tha
  27. Molvi nazeer ahmed k novels.
    miratul uroos
    binat ul naash
    toba tun nasooh
    fasana e mubtala
    ayyami
    ibn ul waqt
  28. Mirza zahir dar baig nazeer ahmed ka sab say famous character hay
  29. Fasana e Azad by Rattan nath Sarshaar
  30. Fasan e Azad main Azad Husan ara say mohabat karta tha
  31. Fasan e Azad main Famous character Khhoji tha jis ka pura name khawaja badeeu zaman tha
  32. Firdos e bareen by Abdul haleem sharer
  33. Amrao jaan ada by mirza hadi ruswa
  34. Amrao jaan ada ka asal name Meeran Bai ha
  35. Akher shab k humsafar by Qurat ul ain haider
  36. Sajjad haider yaldaram apny zamany k sab say romantic adeeb thy
  37. Paraim chand ka sab say pehla afsana Roothi Rani k name say Zamana main 1907 main chapa
  38. 1908 main paraim chand ka Soz e watan k name say pehla majmua shaya howa
  39. Haj e akber paraim chand ka afsana tha
  40. Labaik mumtaz mufti nay likhi
  41. Paraim chand ka aik majmua Angary ka name say 1932 main chapa
  42. Paraim chand ka aik majmua Zad e rah k name say 1936 main chapa
  43. Paraim chand k afsanay
    kafan
    najat
    soteli maan
    mandar
  44. Ghulam abbas k afsany
    andhi
    dhanak
    Bandar wala
    do tamashy
    over coat
    jarhy ki chandni ( majmua)
    katba
  45. Sadat hasan manto ka pehla afsana Tamasha 1933 main shaya howa
  46. Afsano ka pehla majmua Atish pary 1936 main shaya howa jis main total 8 afsany thay
  47. Sadat manto nay Siyah hashiey main fasadat ko point out kia
  48. Intizar hussain ka pahla afasan Quma ki dukan hay jo 1948 main shaya hwa
  49. Intizar hussin ka pehla majmua Gali Koochy 1952 main shaya howa
  50. Kankari 1955 main shaya howa jis main 14 afsany thy
  51. Thandi aag by Intizar hussain
  52. Rustam o sohrab Agha hasher kashmiri ka drama tha
  53. Agha Ashar kashmiri ko urdu ka Shakespeare kaha jata hay
  54. Drama Anar kali by Imtiaz ali taaj jo k tragedy hay
  55. Chacha chakan imtiaz ali taj ka aik kirdar hay
  56. Drama taleem balghan khawaja moen ud din nay likha tha jo k 1954 main likha gia
  57. Sab rus Mulla Wajhi nay likha tha
  58. Sab rus aik tamseeli qissa tha ki zuban Deccani kahi jati hay
  59. Mazameen farhat Farhat ullah baig nay likhi thi
  60. Molvi nazeer ahmed ki kahani farhat ullah baig ka likha howa khaka tha
  61. Ye khakh unho nay 1928 main likha tha
  62. Movli nazeer ahmed farhat ullah baig k ustad thay
  63. Pitras bukhari ka asal name ahmed shah bukhari tha
  64. Urdu ki akhiri kitab by Pitras bukhari
    Maan ki museebat
    khana khud pak raha hay
    dhobi aj kapry dho raha hay
    main aik miyan hon
  65. Mazameen e rasheed Raheed ahmed Sadique ka pahla nasri majmua hay jo 20 mazameen pay mushtamil hay
  66. Aab e gum mushtaq ahmed yousfi k mazameen ka majmua hay jo 1989 main shaya howa aor ic main 6 unwan k mazmoon hain
  67. Aab e gum k markazi kirdar mirza abdul wadood baig ko mushtaq ahmed yousfi nay apna humzad kaha tha
  68. Sir sayyad ahmed khan jaded urdu nasar k pani han
  69. Narang e khayal Mohammad hussain azad nay likha jis main 14 mazameen shamil hain
  70. Hayat e jawaid altaf hussain hali nay likhi thi jo 2 hisso pay mushtamil hay
  71. Meer o Soda ka doar 1706 say 1810 tak phela howa hay
  72. Meer o Soda k doar main urdu pay farsi ghalib rahi
  73. Meer Taqi meer apny zamany ka sab say barha ghazal go shahir tha
  74. Momin o Gahalib k doar main ghazal nay boht arooj hasil kia
  75. Abraham Zoq (died 1854) bahadur shah zaffar ka ustad tha.
  76. Mirza ghalib died in 1869
  77. Fort William college was found in 1800
  78. Sir sayyad nay Tehzeeb ul akhlaq 1870 main nikala tha
  79. Anjaman e Punjab 21 jan 1865 ko banai gai
  80. Dr Lightener pehla sadar tha aor molana Muhammad hussain azad secretary
  81. Sajjad zaheer aor malik raj aanind nay 1935 main taraqi pasand tehrik ki buniyad rakhi
  82. Anjaman ki pahli conference 15 april 1936 ko munshi paraim chand ki sdarat main Lakhnao main hoi
  83. Faiz ahmed faiz, N.m Rashid and majeed amjad ka taluq taraqi pasand tehrik say hay
  84. Faiz ahmed faiz nay ye nazmain likhi hain
    sham e tanhai
    subha e azadi
    chand roz aor meri jan
    heart attack
  85. Taraqi pasand afsano ka pahla majmua Angary hay jo tehrik k aghaz say pahely December 1932 main shaya howa,
  86. Angary 1933 mai zabt ho gai thi
  87. Angary mai 9 afsany aor 1 drama tha